Daily Gratitude Practice: Simple Reflections for Joy, Growth & Inner Peace

Daily Gratitude Practice: Simple Reflections for Joy, Growth & Inner Peace

Why Daily Gratitude Practice Changed My Life

Meri roz ki zindagi mein gratitude practice ne sach mein sab kuch badal diya hai. Pehle toh din itne busy hote the ki aas paas ki chhoti chhoti cheezein notice hi nahi hoti thi. Par jab se maine yeh daily gratitude likhna shuru kiya hai, tab se dil bhi halka lagta hai aur aankhon se cheezein zyada clearly dikhne lagi hain. Yeh mere liye koi kaam nahi, balki ek feeling hai ek tareeka hai har din kuch achha mehsoos karne ka.

  • Inspiration for Others: Main apna gratitude journal sirf is liye share kar rahi hoon kyunki ho sakta hai ki meri kahaani sun ke aapko bhi apni life mein thank you bolne ki wajah mil jaye.
  • No Rules, Just Heart: Koi rule nahi hai, koi perfect tareeka bhi nahi bas jo dil se nikle wahi likha hai.

Gratitude for My Family

Sabse pehla shukriya mere mummy aur papa ke liye. Mere life ke base wahi hain unke bina toh main kuch bhi nahi hoon. Unka support, unki care, unka pyaar sab kuch itna priceless hai ki words mein describe karna mushkil hai. Har din unka shukriya karna mere liye zaroori ban gaya hai.

For My Beloved Mummy

Meri pyaari Mummy ke liye, mera dil poora bhar gaya hai tumhare liye gratitude se.

  • Kitchen Lessons: Jo kuch bhi maine seekha kitchen mein, usmein sabse bada role tumhara hi hai. Tumne mujhe yeh sikhaya ki agar cooker zyada seeti maar de, toh daal kaise bachani hai. Perfect tadka lagana woh bhi tumse hi aaya. Kaunsi sabzi ke saath kaunsa masala best jamega, yeh bhi tumne hi bataya.
  • Cooking with Love: Par sirf recipes nahi, tumne sikhaya ki khana sirf haathon se nahi, dil se bhi banta hai. Tumne mujhe sikhaya ki serve karne se pehle taste karna chahiye aur patience rakhna zaroori hai.
  • Building Confidence: Tumhari mehnat, meri chhoti chhoti koshisho ko appreciate karna aur meri confidence build karna in sab ke liye thank you, thank you, thank you. Mummy, I love you.

For My Dear Papa

Mere pyaare Papa ke liye, main dil se thankful hoon ki aap mere papa ho.

  • Unconditional Support: Jab mummy daantti thi, aap ek muskaan ke saath mujhe bacha lete the – uske liye shukriya.
  • Finding Joy: Aapne mujhe sikhaya ki chhoti chhoti cheezon mein khushi kaise dhoondhni hai.
  • Beautiful Heart: Aap smart bhi ho aur handsome bhi, lekin usse bhi zyada aapka dil beautiful hai – uske liye main aur bhi zyada thankful hoon.
  • Forgiveness and Positivity: Maine kitni baar galtiyan ki, jhooth bola, naughty bhi bani, par aapne kabhi mujhe judge nahi kiya hamesha maaf kiya aur pyaar diya.
  • Life Lessons: Aapne mujhe apne example se sikhaya ki life mein hamesha positive rehna chahiye, bina matlab ke bhi dusron ki help karni chahiye aur sabko respect dena chahiye – chahe woh nana-nani ho ya dada-dadi, ya meri mummy ho.
  • Big Dreams: Aap mere liye bade sapne dekhte ho aur bina kisi shart ke mujhe pyaar karte ho – uske liye dil se thank you, thank you, thank you. Papa, I love you, I respect you aur main aap par proud feel karti hoon.

Gratitude for My Mentors

Family ke alawa, agar kisi ne meri life mein roshni daali hai, toh woh mere teachers hain.

For My Beloved Teacher, Aashmin Ma’am

Meri pyari teacher Aashmin Ma’am ke liye, main aapke liye truly grateful hoon.

  • Beyond Subjects: Aapne sirf subjects nahi sikhaye, balki zindagi ka asli matlab samjhaya.
  • Spiritual Wisdom: Aapne mujhe bataya ki Om ka sound sirf sound nahi hota usmein ek vibration hoti hai. Aapne Ram ke spiritual meaning aur Hari ki divinity samjhayi.
  • Life Lessons: Aapne mujhe sikhaya ki har saans important hai, seva bina matlab ki karni chahiye aur sabse important forgive karna aur chhod dena seekhna chahiye.
  • Connection with Nature: Aapki wajah se maine nature se connect hona seekha paanch tattvon ko samjha, apne andar space banana seekha jahan nayi growth ho sake.
  • Spreading Joy: Aapne mujhe dusron ki khushi mein genuinely khush hona aur unhe dil se blessings dena sikhaya.
  • Gratitude: Is gyaan ke liye, thank you, thank you, thank you Ma’am. I love you, I respect you aur aap par full trust hai.

Gratitude for the Universe and Its Elements

Main apni gratitude practice mein sirf logon ka nahi, poore universe ka bhi shukriya karti hoon jiska main ek hissa hoon. Yeh 5 tattvon ke bina zindagi possible hi nahi hoti.

For Mother Earth (Dharti Maa)

Meri pyaari Dharti Maa ke liye, thank you ki aapne mujhe apne upar jeene ka mauka diya.

  • Foundation of Life: Aap hi toh ho jinhone mujhe chalne, kaam karne, khelne, shaadi karne aur family banane ke liye jagah di.
  • Sustenance: Janam se lekar aaj tak aapne mujhe khana diya, paani diya, har season ke hisaab se kapde diye aur itne pyare rishte diye.
  • Silent Strength: Sabse bada shukriya aapke bade dil ke liye jo meri body aur meri life ki saari negativity ko chup chaap absorb karta hai, bina kuch kahe. Thank you, thank you, thank you Dharti Maa.

For Water (Pani Pita)

Pyaare Pani, aapka shukriya ki aapne janam ke din se leke aaj tak har baar meri pyaas bujhai.

  • Cleansing Power: Aap mere body ko, mere mind ko, mere ghar ko aur mere thoughts ko bhi clean karte ho.
  • Life Source: Aap meri body ka 72% aur brain ka 85% ho mujhe zinda rakhte ho, hydrated rakhte ho.
  • Nurturing Growth: Flowers, plants, sabhi jeev aapke bina grow nahi kar sakte.
  • Healing Rain: Aur baarish ban ke jab aap ghirte ho, tab healing bhi laate ho. Thank you, thank you, thank you.

For Sun (Surya Dev)

Surya Dev, aapka shukriya ki aap har din bina rukhe ugte ho aur dhalte ho, isse maine discipline seekha.

  • Health and Strength: Janam se le kar ab tak aapne mujhe Vitamin D diya, meri bones strong banayi.
  • Digestive Fire: Aap mere andar digestion ka fire ho jo khana digest karne mein help karta hai aur body ko healthy rakhta hai.
  • Illumination: Har subah aap andhere se nikaal kar roshni mein le aate ho. Aapka light mere life, family, future aur kaam tak ko chamkaata hai. Thank you, thank you, thank you Surya Dev.

For Space (Akash Tattva)

Mere pyaare Akash tattva ke liye, shukriya us space ke liye jo mere aas-paas hai aur mere shabdon ke beech mein bhi jisse unka matlab banta hai.

  • Room for Growth: Aap mere dimaag mein naye thoughts ke liye jagah dete ho, pyaar, respect aur maafi ke liye bhi space banate ho.
  • Peace and Unity: Aap mujhe silence aur peace ka gift dete ho aur ek unity ka ehsaas karwate ho. Thank you, thank you, thank you.

For Air (Pavan Dev)

Mere pyaare Pavan Dev ke liye, thank you ki jab se main paida hui hoon, tab se aapne mujhe har saans di hai.

  • Breath of Life: Aapke bina zindagi possible hi nahi.
  • Connection to the World: Aapke through main duniya se connect ho paati hoon main phool ki khushboo mehsoos kar sakti hoon, music sun sakti hoon.
  • Balance and Health: Aap meri body mein carbon dioxide ko oxygen mein badalte ho bina kuch maange. Aap har part mein balanced ho, mujhe healthy aur strong rakhte ho. Zindagi ke is gift ke liye, thank you, thank you, thank you Pavan Dev.

Post a Comment

0 Comments